Wednesday, August 7, 2013

Khamoshi - Woh Shaam Kuchh Ajeeb Thi



Khamoshi - Woh Shaam Kuchh Ajeeb Thi

The Hooghly with the Howrah Bridge in the background has been the setting for a number of memorable Bollywood songs and this number is very much among the best. Kishore Kumar sings for Rajesh Khanna, with Waheeda Rehman misconstruing the intent. Lata Mangeshkar loved this song so much that she sang it for one of her stage shows.

Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai 

 
Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh


Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main jaanta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh


That evening was unusual, so is this evening
She was close to me then, she is near me today

She was looking elsewhere but I was in her thoughts
Her supressed smile infused her cheeks with a pink glow
I hoped it was my name that she was humming then
I can’t say why I felt that she was overjoyed

Her gaze is still lowered, but she still thinks of me
With unsaid desires and with carefree laughter
Today I am sure that she is humming my name
And my mind can sense that she is accompanying me








Khamoshi - Hum Ne Dekhi Hai

Hemant Kumar, Gulzar, Lata Mangeshkar and flashes of Waheeda Rehman – nothing more need be said.

Hum ne dekhi hai in aankhoon ki mahakati khushboo
Haath se chhuke isey rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye rooh se mahsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rahane do koi naam na do

Pyaar koi bol nahin, pyaar aavaaz nahin
Ek khamoshi hai sunati hai kahaa karati hai
Na ye bujhati hai naa rukati hai naa thahari hai kahin
Noor ki boond hai sadiyon se bahaa karati hai

Muskuraahat si khili rahati hai aankhon mein kahin
Aur palakon pe ujaale se chhupe rahate hain
Honth kuchh kahate nahin, kaanpate honthon pe magar
Kitane khamosh se afasaane rukey rahate hain
-------------------------------------------------------------------
I have seen love’s fragrance blossom in these very eyes
Do not bind it in relations or spoil it with your touch
It is ethereal just feel it through your soul
Let love be love do not give it any name as such

Love is not a sequence of words or of voices
It does listen and it does speak but in silence
It does not burn out nor does it end or stop
It is an eternally flowing luminescence

The eyes are always festooned with a smile
And across the face a quiet glow is spread
The lips are silent, but on the quivering lips
A million tales can be sensed but remain unsaid


No comments:

Post a Comment